Dedicated to all my smoker friends,specially to Nayak...kashon ki kashish me zindagi yu nikalti rahi,
ki uss saye ko bhi dhuyen me sama liya,
Bohot zaa'e ki meri neendo ko un akhon ne,
har kash ne un yaadon ka nasha hi mita diya,
Tanhaiyon ke safar me aie habiib
tu hi to ek hamsafar tha,
Har zakhm ko sehta gaya mein haskar,
wo tere us dhuyen ka hi to asar tha,
Is be-iman zamane ka kya hai,
hurdum tujhe badnaam karta hai,
Idhar shama ko pak kehta hai,
udhar tujhpe Ilzam ghadta hai.
arsh ke farishton ke aksar
yahi hashra hote hain,
Jahaan bhar ko karb se aazad kar
Khud hi sulag kar khak hote hain ,
-------------------------------------------------------
zaa'e = waste
habiib= friend
shama = fire
pak = pure
arsh = heaven
Karb = pain