Tuesday, January 27, 2009

Cigarette....


Dedicated to all my smoker friends,specially to Nayak...

kashon ki kashish me zindagi yu nikalti rahi,
ki uss saye ko bhi dhuyen me sama liya,
Bohot zaa'e ki meri neendo ko un akhon ne,
har kash ne un yaadon ka nasha hi mita diya,

Tanhaiyon ke safar me aie habiib
tu hi to ek hamsafar tha,
Har zakhm ko sehta gaya mein haskar,
wo tere us dhuyen ka hi to asar tha,

Is be-iman zamane ka kya hai,
hurdum tujhe badnaam karta hai,
Idhar shama ko pak kehta hai,
udhar tujhpe Ilzam ghadta hai.

arsh ke farishton ke aksar
yahi hashra hote hain,
Jahaan bhar ko karb se aazad kar
Khud hi sulag kar khak hote hain ,
-------------------------------------------------------
zaa'e = waste
habiib= friend
shama = fire
pak = pure
arsh = heaven
Karb = pain

5 comments:

abhi11 said...

jabardast likha hai be......ab daru pe bhi likh de.....kya pata doosra Bacchan tu hi ho

Anonymous said...

Wow thats really deep...
Keep writing!

Ankur Mohan Sinha said...

Thanx a lot.. :)

Saurabh Harsh said...

Kya mast likha hai bro.. sunn karr daru peena ka dil karr raha hai

Ankur Mohan Sinha said...

:) Thanks bro... tum pe ye Ghazal suit karta hai
"sabko malum hai ki mein sharabi nahi.. fir bhi koi pilaye to mein kya karun..
Wo jo ek bar nazron se nazren mili
aur kasam tut jaye to mein kya karun"